Contact Us Privacy Policy About Home
Rani sati mata jhunjhunu

The temple of the Ranisati mata ( Rani sati ka mandir ) is located in Jhunjhunu. The devotees have very deep faith in the temple of Mata. coming devotee believes that all his wishes are fulfilled by coming into the temple. In this post, we will tell you about the Rani sati mata . Dadi bhajan moti sethani, Bhajan mehandi rachi bhajan aadi ki jankari ke liye click kre>

Rani sati mata mandir jhunjhunu

Param aaradhay shree Rani Sati dadi apne bhakto me bahut hi lokpriy hai. Bina kisi bhed Bhav ke Mata rani sati apne bhakto par apni kripa barsate hai. Bharat me hi nhi balki pure world me rani sati dadi mata ke bhakt niwas krte hai. Purani manytao ki mane to mahabhat ke yudh me chakrvyuh me veer abhimnyu veergati ko prapt huye the. Us samay Uttra ji ko bhagwan shree krishna ne vardaan diya tha ki kalyug me aap "Narayani" ke naam se shree rani sati dadi ke rup me vikhayt hoge. World me niwas krne wale sabhi bhakto ka kalyan kroge. Usi vardan ke karan shree rani sati dadi aaj sare sansaar me puji jati hai. Shri rani shati dadi ka mandir aaj se 715 year pahle mangalwar (Tuesday) ko sanvat 1350 esvi me 06/12/1295 ko mata sati huye the.

Narayani mata ka janm  (Birth of mata rani sati)

Shri rani sati ka birth sanvat 1638 esvi ke kartik shukla navmi ke din mangalwar ko dokwa gaanv (Village) me huaa tha. Dadi mata ke father ka name shri gursamal ji tha.

Rani sati mata ka bachpan dokwa gaanv me hi bita. Dai mata ka bachpan ka name "Narayani bai" tha. Ye bachpan me dharmik khel khela kate the. Bade hone par sheth ji ne unhe dharmik shiksha or sastr shikshan or ghudsavari ki shiksha di. Bachpan se rani sati mata ki deviy shaktiya najar aane lage the, jise gaanv ke log aaschary chakit hote the.

Rani sati dadi ka vivah hissar rajy ke seth shri jaliram ji ke putr ( son of jaliram ji) tandhan daas ji ke shaath mangsir shukla navmi sann 1352 mangalwar ke din dhum dham se ki.

Jab narayani bai vida huii parntu honi ko kuch or hi manjur tha. Jab rani sati dadi ki vidaai ho rhi thi to udhar nwaab ghat lgakar betha tha. Sadi ki baat sunkar sari pahadi ko gher liya. "Devsar" ki pahadi ke paas pahuchte hi sainiko ne hamla kar diya. Tandhan ji ne ladai me virta ka parichay dete huye dushmano ka samna kiya lekin unhi ke kisi sainik ki gaddari kar ke tandhan ji par war kar diya. Es ladai me tandhan ji veergati ko prapt ho gye.

Jab yah ladai narayani bai ne apni doli se dekha to doli se nikal kar ma chandi ka roop dharan karke sabhi dushmano ka safaya kar diya. Bachi huye sainik yah dekh kar bhag khade huye. ese dekh kar rana ji ki tandra jagi or wo aakar ma narayani se prarthna karne lage uske baad mata ne shant hokar apne sastro ka tyaag kiya. Fir rana ji ko bula kar unhe kha ki me sati houngi uske baad jab chita banane me der hone lagi to mata ne apni shat ke bal par agani prakat karke sati ho gaye. Es sati ko dekhkar devi devtao ne aasman se phoolo ki barish krne lage.


rani sati dadi ka mandir, jhunjhunu

shri rani sati ka mahan mandir rajasthan ke jhunjhunu district me hai. Yah mandir kai year purana hai or bahut hi manmohak hai. Es mandir ki kala or chitrkari ne es mandir ki shobha or bhada diya hai.
Bhado amavshya ke din ek vishesh utsav es mandir me aayojit kiya jata hai. Es din mandir dadi rani sati ke bhakto se pura bhar jata hai. Duniya ke har kone se mata rani sati dadi ke bhakt apna sheesh dadi ke charno me jhukate hai.

Mata rani sati ke mandir ke paas me hi hanuman ji ka mandir, mata sita ka mandir, ganesh mandir shiv mandir hai. Har aarti ke baad prsaad vitarit karne ki taiyari hoti hai. Bhakto ke liye prsadi ka pryojan kiya jata hai. Rajasthani logo ki manyta hai ki mata rani sati mata durga ka avtar hai. Yaha aane wale sabhi mata ke bhakto ka man na hai ki yha aane se unki sari murade pure ho jate hai.